Naunihal – Meri Aawaz Suno

For Naunihal (1967), Kaifi Azmi wrote the song “Meri Aawaz Suno Pyar ka Raaz Suno” (Hear my voice, hear the secret of love) sung by Mohammad Rafi. The song is picturised over the funeral procession of Prime Minister of India, Jawahar Lal Nehru.

meri aawaz suno
meri aawaz suno, pyar ka raag suno 
meri aawaz suno
maine ek phul jo sine pe saja rakha tha 
uske parde main tumhe dil se laga rakha tha 
tha juda sabse mere ishq ka adaaz suno
meri aawaz suno, meri aawaz suno

zindagi bhar mujhe nafrat si rahi ashko se
mere khwabo ko tum ashko me dubote kyu ho
jo meri tarah jeeya karte hain kab marte hain
thak gaya hu mujhe so lene do rote kyu ho
so ke bhi jaagte hi rahte hain jabaaj suno
meri aawaz suno, meri aawaz suno

meri duniya me na purab hain na paschim koi
sare insaan simat aaye khuli baaho me
kal bhatakta tha main jin raaho me tanha tanha
kafile kitne mile aaj unhi raaho me
aur sab nikle mere humdam humraaz suno
meri aawaz suno, meri aawaz suno

naunihal aate hain arthi ko kinare kar lo
main jaha tha, inhe jana hain waha se aage
aasma inka, jami inki, zamana inka
hain kayi inke jahan mere jahan se aage
inhe kaliya na kaho, hain ye chamansaaz suno
meri aawaz suno, meri aawaz suno

kyu sanwari hain ye chandan ki chita mere liye
kyu sanwari hain ye chandan ki chita mere liye
main koi jism nahi hu ke jalaoge mujhe
raakh ke sath bikhar jaunga main duniya me
tum jaha khaoge thokar wahi paoge mujhe
har kadam par hain naye mod ka aagaz suno
meri aawaz suno, pyar ka raag suno 
maine ek phul jo sine pe saja rakha tha 
uske parde main tumhe dil se laga rakha tha 
tha juda sabse mere ishq ka adaaz suno
meri aawaz suno, meri aawaz suno
meri aawaz suno, meri aawaz suno
meri aawaz suno, meri aawaz suno
Naunihal – Meri Aawaz Suno